Nisaab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko don
Har ek shakhs ko mujh se bohat mohabbat hai
Sawal yeh hai wafa ka jawab kis ko don
Mera khuloos,mohabbat,wafa hai sab ke liye
Sochta hon ke lab-e-lubaab kis ko don
Mere liye to sabhi log ek jese hain
Sukoon kis ko don,main izteraab kis ko don
Hujoom-e-husun ke melay main sochta hon main
Ke apne hath main thama gulaab kis ko don
.........................................................................................................................
Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata
Main aik aag hoon jo pani ki pyaasi hai
Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai
Tujhe bhoolna na'mumkin se na'mumkin hai
Tujh se judai main soch bhi nahi sakta hoon
Tujhe paana meri tammana hai
Tujhe khoo'denay ka darr bay'had hai
Main kerta hoon tum se pyar itna
ke ik nazar mein sab keh dalta hoon
Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai
Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai
Na janay kyon main tujhe ko chahtaan hoon is kadar
Ke ik baar tujhe mein khoo jana chahtaan hoon
Tujhe takleef mein dekha na jaii
Meray ashqoon se pani beh jai
Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata
.........................................................................................................................Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata
Main aik aag hoon jo pani ki pyaasi hai
Main aik jism hoon jo dil ka pyaasa hai
Tujhe bhoolna na'mumkin se na'mumkin hai
Tujh se judai main soch bhi nahi sakta hoon
Tujhe paana meri tammana hai
Tujhe khoo'denay ka darr bay'had hai
Main kerta hoon tum se pyar itna
ke ik nazar mein sab keh dalta hoon
Tujhe dekh ke aik sukoon sa aata hai
Tujhe se juda honay ka darr har waqt laga rehta hai
Na janay kyon main tujhe ko chahtaan hoon is kadar
Ke ik baar tujhe mein khoo jana chahtaan hoon
Tujhe takleef mein dekha na jaii
Meray ashqoon se pani beh jai
Tujhe dekhay bina mujhe neend nahi aati
Tujhe sunay bina mujhe chain nahi aata
eh teray khat teri khushbu yeh tere khuab-o-khayal
Mata-e-jaan hain tere qaul o qasam ki tarhah
Guzishta saal mein nay inhein ghin k rakha tha
Kisi ghareeb ki jorhhi hui raqam ki tarhah
.........................................................................................................................
Galat andaz_e_nazroon se kion dekha
Safar main sath gar chalna nahi tha
Dhikaye the kion jhothe khwab mujh ko
Mere khwaboon main gar rehna nahi tha
Teri janib se jo kuch bhi mila hai
Yakeen kar is ka to socha nahi tha
Vazahat ab koei mat paish karna
Tu apne pyar main saccha nahi tha...
.........................................................................................................................Safar main sath gar chalna nahi tha
Dhikaye the kion jhothe khwab mujh ko
Mere khwaboon main gar rehna nahi tha
Teri janib se jo kuch bhi mila hai
Yakeen kar is ka to socha nahi tha
Vazahat ab koei mat paish karna
Tu apne pyar main saccha nahi tha...
jab koe baat kerta hon tera khial aata hay
jabb kuchh sochnay lagta hon tera khial aata hay
meri aankhon meri nazar main tum aisay samaay ho
jabb kuchh dekhnay lagta hon tera khial aata hay
koe bhi kaam mujh se abb tu kia nahi jaata
jaabb kuchh kernay lagta hon tera khial aata hay
main saari raat tujhay sochtay bita deta hon
main jabb bhi sonay lagta hon tera khial aata hay
kabhi jabb hansi aati hay tu dil ronay lagta hay
main jabb bhi hasnay lagta hon tera khial aata hay
main pall pall merta rehta hon nahi abb jia jata
main jabb bhi jeenay lagta hon tera khial aata hay
0 comments:
Post a Comment